Monday, January 18, 2010

tere bina…

Pehle is duniya me ek apnapan sa lagta tha,
Aaj apna saaya he mujhe qatil lagta hai tere bina.
Kabhi khuda se sazde me ek adad umar maanga karta tha,
Par aaj toh bojh lagta hai har pal zindgi ka tere bina…

Kabhi jis aashiyane ko sajaya tha tere khayalon se,
Wo aaj tinka-tinka bikharta hi jaa raha hai tere bina.
Pehle tere saath rahta tha har pal me,
Aaj bheed me bhi tanha rahta hoon tere bina.

Us waqt askon se door tak ka waasta na tha mera,
Aaj muskurane ki kosis me he ansu aa jaate hai tere bina.
Pehle jo dhadkane tere dil ke saath dhadakti thi,
Aaj kayi sawaal karti hai dekh kar tanha mujhe tere bina.

Kabhi ye dil jo kayi muskurahaton ki vajah hota tha,
Aaj yaadon me ghut-ghut kar rota hai tere bina.
Kabhi tum mujhe neend se jagaya karti thi,
Aaj jaagti aankho se intezaar karta hoon tere bina.

Kabhi maikhane ke saamne se bhi guzara na karta tha,
Aur aaj band pade maikhano ki sidhiyon pe raat kat ti hai tere bina.
Kabhi band aankho se he dhundh liya karta tha tujhe,
Aur aaj apne ghar ka raasta bhi logon se puchhta hu tere bina.

No comments:

Post a Comment