Monday, February 8, 2010

chala ja raha hu..........

ye kaun si hai rah jispar mai,
manzil ki chah me, chala ja raha hu...

muskilo se besudh, khatro se anjan,
auro ke peeche, chala ja raha hu..

Waqt rehte maine kuch bhi nahi tha seekha ,
auro ke dikhaye raste par, chala ja raha hu..

Sau rukawate hai rah par, janta hu mai magar,
manzil ki chah me, chala ja raha hu..

Dosto ke sath ko, dusmano ke ghat ko,
sath me le ke, chala ja raha hu..

hausla na tut jaye, kadam ladkhada na jaye,
sabhi par sanyam banaye, chala ja raha hu..

kabhi to ayegi manzil nazar, is ummeed ke sahare chala ja raha hu...

chala ja raha hu..........

Nahi Karna.......

Meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
Dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna...

Apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
Chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna...

Raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
Aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna...

Namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
Khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna...

Zakham phir zakham hai.N I roz bhar jaynge
Husan wallon ko inke charasaaz nahi karna...

Khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
Kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna...

Monday, January 18, 2010

Main....

Kabhi aana dard se saje mere samiyaane me E dost,
Har pal tadpaati is zindgi ki daastaan sunaunga main.

Ye mehfil hai aansuo ki muskura na sakoge tum,
Dard ke hi jaam honge,saari mehfil ko rulaunga main.

Abhi mere marne ki dua na karna mere humnafaz,
Abhi to in saanso ko aur bhi tadpaunga main.

Ab kahan yaad aata hoon kisi ko main apno ki tarah,
Bhooli hui si ek yaad ban kar in fizaaon me kho jaaunga main.

Nafrat ke saaye me ab kahan chaar kandhe naseeb honge mujhe,
Maut ke intezaar me zinda hi khud ko dafanaunga main.

Na pyar ki aadat hai mujhe,na kisi ke saath ki ummid baaki koi,
Shamshaan me bhi kisi tanha kone me kabar banaunga main.

Baad marne ke bhi aansuo se geeli hi rahegi mitti meri kabar ki,
Jeete jee jise bhula na saka, use marne ke baad bhi na bhulaunga main.

Baki na rahe khwaish koi, tu jee bhar ke tadpa le mujhe E zindgi,
Is maut ke baad phir laut kar tere dar par kabhi na aaunga main...

Main....

Mar Gaya Tha Usi Din Jab Usse Judaa Hua Main.
Us Waqt Ro Raha Tha Aasma Aur Bikhar Gaya Tha Main,

Aankhe Meri Nam Thi Aur Ashq Ban Gaya Tha Main.
Kuch Logo Ne Meri Duniya Ujaad Di Aur Dekhta Raha Main,

Jo Khataa Na Ki Maine Uska Sazawaar Ban Gaya Main.
Saath Chodd Gaya Wo Aur Uska Rasta Takta Raha Main,

Dard Dil Me Dabaye Rakha Warna Mehfil Ko Rula Deta Main.
Lo Ab Apni Maut Ka Saamana Kar Raha Hoon Main,
Apne Haatho Se Apna Janaza Sajaa Raha Hoon Main.

tere bina....

Jee raha hai tera har pal mere bina,
Pooch kar to dekh haalat kya hai meri tere bina.
Wo raahen jin par saath chala karte the hum,
Aaj sannaate ki gawaah bani hai tere bina.
Kabhi jin mehfilon ki shaan hua karte the hum,
Aaj roti hai wo dekh kar mera haal tere bina.
Kabhi chandni ke saaye me raat guzar jaati thi.
Aaj darta hoon roshni ke naam se bhi tere bina.
Tere saath to kayi toofaan bhi jhel liye the maine,
Par aaj hawayen bhi chot pahuchati hai mujhe tere bina.
Wo gulshan wo nazaare, wo dariya aur wo kinare,
Aaj to sehmi hai har boond saagar ki tere bina.

tere bina…

Pehle is duniya me ek apnapan sa lagta tha,
Aaj apna saaya he mujhe qatil lagta hai tere bina.
Kabhi khuda se sazde me ek adad umar maanga karta tha,
Par aaj toh bojh lagta hai har pal zindgi ka tere bina…

Kabhi jis aashiyane ko sajaya tha tere khayalon se,
Wo aaj tinka-tinka bikharta hi jaa raha hai tere bina.
Pehle tere saath rahta tha har pal me,
Aaj bheed me bhi tanha rahta hoon tere bina.

Us waqt askon se door tak ka waasta na tha mera,
Aaj muskurane ki kosis me he ansu aa jaate hai tere bina.
Pehle jo dhadkane tere dil ke saath dhadakti thi,
Aaj kayi sawaal karti hai dekh kar tanha mujhe tere bina.

Kabhi ye dil jo kayi muskurahaton ki vajah hota tha,
Aaj yaadon me ghut-ghut kar rota hai tere bina.
Kabhi tum mujhe neend se jagaya karti thi,
Aaj jaagti aankho se intezaar karta hoon tere bina.

Kabhi maikhane ke saamne se bhi guzara na karta tha,
Aur aaj band pade maikhano ki sidhiyon pe raat kat ti hai tere bina.
Kabhi band aankho se he dhundh liya karta tha tujhe,
Aur aaj apne ghar ka raasta bhi logon se puchhta hu tere bina.

Tuesday, January 12, 2010

Sochta Hoon............

Sochta Hoon Kayi Baar Zindagi Ko Ubharu Lafzon Me,
Lekin Kyun Kalam Uthate Hi Aankho Se Aansu Bahne Lagte Hain,
Vichar Aata Hai Jahan Me,
Dard Zindagi Me Dard Tha, Ya Dard Me Zindagi,
Dhokha Apno Ne Diya,Ya Dhokho Ne Apne Diye,
Jinke Baare Me Main Sochta Tha Wo Mere Apne The
Ya Jo Mere Baare Me Sochte The Wo Mere Apne The,
Zindagi Me Jo Gam The,Kya Jeene Ke Liye Wo Kam The,
Jo Mout Ke Baad Bhi Mere Apno Ne Mujhe Jala Diya,
Jinke Naam Maine Kar Di Saari Zindagi,
Unhone Uska Ye Sila Diya Mujhe
Meri Asthi,Mere Astitva Ko Ganga Me Baha Diya.
Sochta Tha Ki Marne Ke Baad Khuda Banega Mera Sahara,
Lekin Usne Bhi Dekar Saja Mujhe Dubara Dharti Par Utara,
Lekin Phir Bhi Maine Kya Paya,
Badi Badi Khushiyon Ki Talash Me Choti Choti Khushiyon Ko Thukraya.
Aakhir Me Meri Samajh Me Aaya Ki
Ye Duniya Khushiyon Ki Nahi Dukho Ki Hai,
Is Duniya Me Jeena Hai To Paristhitiyon Ke Vipreet Jeena Padega,
Gamo Se Darna Nahi Museebato Se Ladna Padega
Yahi Zindagi Hai Isi Ko Jeena Padega....!!!!