Monday, January 18, 2010

Main....

Kabhi aana dard se saje mere samiyaane me E dost,
Har pal tadpaati is zindgi ki daastaan sunaunga main.

Ye mehfil hai aansuo ki muskura na sakoge tum,
Dard ke hi jaam honge,saari mehfil ko rulaunga main.

Abhi mere marne ki dua na karna mere humnafaz,
Abhi to in saanso ko aur bhi tadpaunga main.

Ab kahan yaad aata hoon kisi ko main apno ki tarah,
Bhooli hui si ek yaad ban kar in fizaaon me kho jaaunga main.

Nafrat ke saaye me ab kahan chaar kandhe naseeb honge mujhe,
Maut ke intezaar me zinda hi khud ko dafanaunga main.

Na pyar ki aadat hai mujhe,na kisi ke saath ki ummid baaki koi,
Shamshaan me bhi kisi tanha kone me kabar banaunga main.

Baad marne ke bhi aansuo se geeli hi rahegi mitti meri kabar ki,
Jeete jee jise bhula na saka, use marne ke baad bhi na bhulaunga main.

Baki na rahe khwaish koi, tu jee bhar ke tadpa le mujhe E zindgi,
Is maut ke baad phir laut kar tere dar par kabhi na aaunga main...

No comments:

Post a Comment