Sunday, January 10, 2010

For Some1 Whom I Lost

Pathjhar mein joh patthe pedho se gir rahe hai,
Shyaad yeh dastan meri hi keh rahe hai !
Jaise tutkar gir jata hai wah daal se,
Mein bhi khabhie bichda tha apne kisi yaar se !
Aab nahi koi aas mujhe ushse milne ki,
Jaise pathjhar me murjaye gul ko phir se khilne ki !
Aab toh yadhon k share hum reh rahe hai,
shyaad Yeh dastan meri hi keh rahe hai !
Maut ek aisi neend hai ishme joh sau jata hai,
Jante hai hum sabhi wapas nahi woh aata hai !
Joh Kuch karne ki aashaa thi jeevan mein,
Ek hi pal mein badli gehri nirasa mein !
Baharo ki chah mein aab yuh hi hum jee rahe hai,
Shyaad yeh dastan meri hi keh rahe hai,
Lekin...
Har pathjhar k baad jaise aati aati hai bahar,
Dil kehta hai joh hua ushe jaane de yaar !
Aab har kisi ko dil se karle pyar,
Pyar ka sandesh aab hum sabko de rahe hai,
Baharo ki chah mein aab yuh hi chal rahe hai !
Naye-Naye patthon ko dekhkar mann hi mann hash rahe hai,
Pathjhar mein joh patthe pedho se gir rahe hai,
Shyaad yeh dastan meri hi keh rahe hai !

No comments:

Post a Comment